Saharanpur me danga ne ek bar fir sabit kar diya hai ki dangayi musalman nahi ... . .............................lekin iske liye jimmedar kaun.....? Urdu daily pindar patna ke editorial page ...dinank...28/7/14 se ....


Saharanpur me Firqawarana tasadum ( saharanpur me sampradayik mudhbher)

U.P ke saharanpur me wivadit jamin par ek samudaye k logon ke jariye gairqanuni dhang se nirmaan ka kaam shuru kar ne ko lekar sampradayik mudhbher ka jo afsos naak maamla pesh aaya wa bajahir intejamiya ki laparwahi ka natija maalum padta hai ..........bataya jata hai k is vivadit jamin par kabhi ek masjid thi jise shaheed kar diya geya tha aur is jamin ko qarib hi waaqe (isthit ) guru dawara committee ke hathon bech diya geya tha .....aur is jamin ko kharidne k baad jab - jab is par nirman ka kaam shuru karne ki koshish ki musalmano ne baza taur par is par etaraaj kiya jis k natije me ye maamla high court tak pahunch geya ...viwadit jamin ka mamla lagtaar  high court me sunwayi ke liye lambit hai ...lekin gurudawara committee ke log ne jumrat ko raat gaye nehayat khamoshi k saath langar gaar kar ek baar fir taaqat k bal par nirmaan ka kaam shuru kar diya jis ki khabar milte hee asthaniye musalmano ke ek group ne is jarrawai par virodh karte huye nirman kaam  band karne ki maang karne lage....mysalmano ne is mamle ki jankari asthaniye thaana tak pahuncha di lekin thana ne fauri karrawai karne ki bajaye mamle ko talna chaha jis par musalmano ka group aakramak ho geya
Agar police prasashan ne vivadit jamin par gair qanuni nirmaan ko rokne k liye fauri taur par qadam uthaya hota aur new constrution ko tod diya hota to musalmano ka group akramak nahi hota aur mudh bher ki naubat nahi aati ........aisa malum padta hai ke sikhon ke jariye shuru kiye gaye constructions ke kaam me police ki mili bhagat thi garu dawar committee rato raat is gair qanuni kaam ko pura kar lena chahti thi taki agar mamla fir adalat me jaye to rawayat k mutabik adalat maujuda surate haal (Status Que ) barkarar rakhne ki hedayat jari kar de aur mamla fir lambi muddat tak k liye latak jaye .........
Saharanpur ke mamle me tin afrad ke halak aur digar dusre darzano logon ke jakhmi hone ki khabar hai jisme police wale bhi shamil hain .......gaur talab baat ye hai ki UP me do aqliyati firqo sikhon aur musalmano ke darmiyaan girohi mudh bher ka ye dusra mamla hai .......pahla mamla chand maah qabl gorakhpur me pesh aya tha aur us maamle  ka sambandh bhi majhabi muqam k qarib nirman ko lekar hi hua tha....
Pahle waqeya ki tarah is waqeya ko hawa dene mein asthaniye BJP aur congress ne negativ role ada kiya hai jiska natija hai ke bade paimane par loot , maar, aur aag jani ki ghatnaye pesh hui aur karodo ki sampati ka nuksan chand ghanto me he khak me mila di gayi.....badqismati se hamare mulk me firqawarana tashaddud ki aag par seyasi roti sekne ka amal itna maqbul hota ja raha hai ki seyasi lidran khas kar bjp ke lidraan esay  ek sunhara mauka ke taur par mante hain aur aag bujhane ki bajaye aag par tel chidakne me  dilchspi  lete hain ...waise saharanpur ke mudh bher ko lekar U p ki akhilesh hukumat ek baar fir kadi aaj maish se gujar rahi hai ....

Www.biharbroadcasting.com

Www.biharbroadcasting.blogspot.com

Comments

Popular posts from this blog

#Modi G ! कब खुलेंगी आपकी आंखें ? CAA: एक हज़ार लोगों की थी अनुमति, आए एक लाख-अंतरराष्ट्रीय मीडिया

"बक्श देता है 'खुदा' उनको, ... ! जिनकी 'किस्मत' ख़राब होती है ... !! वो हरगिज नहीं 'बक्शे' जाते है, ... ! जिनकी 'नियत' खराब होती है... !!"